Tu Kuja Song Lyrics from Highway Movie. Song is sung by Sunidhi Chauhan.
tu kuja song highway wallpaper

Song : Tu Kuja
Singer : Sunidhi Chauhan
Music : A.R. Rahman
Lyrics : Irshad Kamil

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Kripa drishti mujh pe bhi ho maharaja
Anginat chintaao ne ghera
Aastha hai jo vyatha hai, woh harega tu
Sun meri bhi, koi na mera


Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan


Hain bhay bhayankar
Path mein kankar, maharaja
Mujh adham se kyun tune mukh phera
Main dharatal se pukaarun, haath de apnaa
Sun meri bhi, koi naa mera
Nirdhano ka dheer tu hai, nirbalon ka bal
Sun meri bhi koi na mera o..


Main jagat mein laapata, mera tu pataa
Main kahaan, batlaa?
Main ekaaki, de dayaa ki bheekh raja
Hai adhar mein, shwaas bhi mera


Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan


Main kahaan.. kahaan
Main kahaan.. kahaan

Ghanghor hain andhiyaare
Sab roothe hain ujiyaare
Tan toote, mann haare
Tan toote, mann haare

Kismat ke doobe taare
Koi kiran dikhlaa re
Hain soone path saare
Hain soone path saare

Main ekaaki, de daya ki bheekh raja
Kya tujhe aabhaas bhi mera
Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Ho...
Tu kahaan, main kahaan
Tu kahaan, main kahaan


 
Top